Prem ek vichar hai 
 Khamoshiyon k samander Mai 
Chanchal si lehar jesa 
Zindagi ki raat mai
Chamkti Hui pehar jesa 
Vichar to har chhan badalte rhte hai
Kya ye swabhav rkhta hai ye bhi?

Agar ye mehaj ek vichar hai 
To sthaitva k bhav se koso door hona chahiye tha
Zindagi ki bhag dod k sung
Ek nayi si avastha ko pane mai mashgool hona chahiye tha
Magar isme to thehrav bhi hai 
Or wo bhi kai lmbe waqt tak ka .
To aakhir ye hai kya?

Ye to ek ahsas hai
Jo zindgi k har ek vichar se khas h
Soch se pare smbhavnao se door
Abhiman to bhut Chhota h 
Isse bda na koi gurur.
Smaa Jaye jo rago m
To becheniyon se ho ruh rubaru 
Sukoon bhi de or ajab si rahat bhi
Dard bhi thoda sung pr fir bhi wo satrangi chahat hi 
Na nazdikiyo se moh or na hi dooriyon ki aahat si 
Saare vikaaro se door ek utkrasht sa bhav
Jiske tale apne har ek pal ki chhav .


#wordsplay
©Shivangi

0 Comments